kaise kaise haadase sahate rahe
ham yuu.N hii jiite rahe ha.Nsate rahe
us ke aa jaane kii ummiide.n liye
raastaa mu.D mu.D ke ham takate rahe
vaqt to guzaraa magar kuchh is tarah
ham charaaGo.n kii tarah jalate rahe
kitane chehare the hamaare aas-paas
tum hii tum dil me.n magar basate rahe
Dikhta Hai Zindagi Ka Rang !!!
Zindagi Ke Rangon Main
Bahar Ke Moasam Main
Dil Kashi Ke Naghmon Main
Junoon Karta Hai
Humain Salam Raston Main
Payam Deti Hain
Khushyan Humari Chokhat Pe
Rang Khilta Hai
Jo Bhi Humarey Chahron Pe
Humain Bata Ta Hai
Mili Hai Zindagi Humain.......
A BEAUTIFUL AND HUGE COLLECTION OF URDU POETRY IN ROMAN SCRIPT WHICH DEPICTS THE DEDICATION AND LOVE FOR URDU AND ITS BEAUTY. DESPITE OF USING ROMAN SCRIPT THIS WEBSITE TAKES CARE OF URDU PRONUNCIATION AND ITS SOUL. VISIT THIS SITE AND FEEL THE SWEETNESS OF URDU POETRY.
http://www.urdupoetry.com/
No comments:
Post a Comment